Tuesday, December 20

Zindagi.. ek ajnabi si..

[hindi shayari, shayari in hindi, hindi shayri, love shayari, shayari in english, shayari, romantic shayari, love shayari, friendship shayari, shayari hindi]

paya to kuch nahi par khoya bohot kuch..
jeevan k kathin rasto me chalte chalte..

kitne apne se lagte the kuch log,
muskurate the sath kabhi sath gaate,
kabhi wo roothte to kabhi wo hume manaate,
kyu the hum itne khush unn dino,
naa jaane kyu itne ajeeb the wo din,
jo aaj hum nahi bhool paate..

abhi kal hi ki baat hai, abhi kal hi the wo roothe..
par jaane kya baat hui, kyu wo din nikle jhoote..
sochte hain kuch, ho kuch jaata hai..
kehna hum jo chahte hain wo dil keh nahi paata hai..
samajhne ka kaam to ye aankhe karti thi..
par in aankho se bhi ab ye dard saha nahi jaata hai..
kabhi khud se poochte hain kabhi khud ko aajmaate hain,
aur kabhi samunder ki ret pe jhoote sapne sajaate hain..

kya ye gham ka samaa hum bhula paayenge,
kya iss waqt ke aage hum apna jahaa bana paayenge,
sochte hain bohot kuch, keh nahi paate unse,
kehte hain khud se par jataa nahi paate unse,
ab to ye aalam hai ki waqt gujraa jaata hai..
samundar bhi ret ki baahon se fisalta jaata hai,
ab to waqt bhi thak sa gaya hai inn dino
ki wo baar baar hume apne jaane ki yaad dilaata hai..
par kuch to baat hai dabi si.. iss dil me..
ki dil kuch kehta hai, hum samajhne me hi reh jaate hain..
aur chupke se ye waqt mere haatho se nikal jaata hai..

Rote hain.. bohot rote hain.. apne dil ko dukhaate hain,
samajhte hain wo bhi sab, par kuch nahi jataate hain,
kyu hota hai ye dil itna bebas itna laachaar,
kehna agar hum kuch chahte hain, to kyu nahi keh paate hain?
kyu hota mann udaas, jab nahi hote wo aaspaas,
par hote hain karib jab wo mere......kyu hum ek dooje se nazrein churaate hain?

Wo ek pyaara din tha, hum mile aur dost ban gaye..
aur ajnabi iss shahar me hume ek thikaana mil gaya,
jeevan ke inn kathin raasto me jaise,
ek patthar ko bhi jeene ka bahaana mil gaya..
par koi thikana nahi khushiyo ke aane jaane ka,
gham ka pehra har waqt rehta hai aaspaas,
jaana hota hai agar, to chali jaati hai muskurahat,
par udaasi aur aansuon ko to waqt bewaqt aana hota hai,
kyu hota hai aisa, kyu sab kuch ek sa nahi rehta,
log milte hain humse aur bichad jaate hain,
par kyu tab inn aankho ko apne aansuon ko bahaana hota hai??
aakhir kyu logo ko aksar chale jaana hota hai??

Sawaalon ka ye daur hamesha chalta rahega,
ye dil hi kuch aisa hai, unhe yu hi yaad karta rahega,
sochte hain hum ab bhi ki ek din to wo laut aayenge,
issi intejaar me ye dil pal pal marta rahega,
sochte hain ki wo humse ek baar to milenge,
kehte hain jo kuch hum khud se roj aaine ke saamne,
ek baar to hum unse bhi wo sab kuch keh sakenge,
inhi khayaalo ke darmiyaan jeete hain ab hum..
dhadakta ab bhi hai ye dil aur chalti ab bhi hain saanse,
din ab bhi nikalta hai roj aur hoti hain ab bhi raatein,
par kuch hai jo ab nahi hai mere paas..
wo jo ek din mera apna tha, wo jo tha mera kuch khaas,
aaj nahi hai, kahi kho saa gaya hai wo,
wo jo kabhi hasta tha, kabhi gaata tha saath mere,
wo jo mera geet tha, aaj gaata hu to lagta hai bilkul udaas..
chalo jaane do yaaro, zindagi hoti hi hai kuch aisi..
aati hai akele aur jaati hai akele..
par jab tak hai zindagi mere saath, mere kaano me kuch kehti rehti hai:-
 "paya to kuch nahi par khoya bohot kuch..
jeevan k kathin rasto me chalte chalte..
Jeene ki aarzu me roj hoti hai subah meri..

par rooh ban jaati hoon din ke dhalte dhalte.."
-Zindagi.. ek ajnabi si..

..Jiyo Dil Se.. by "somebody"


[hindi shayari, shayari in hindi, hindi shayri, love shayari, shayari in english, shayari, romantic shayari, love shayari, friendship shayari, shayari hindi]

1 comment: